- September 7, 2024
- 2 Comments
- قادری مجاہدی مسائل گروپ
Aap(ﷺ) ki Khatir Bnaye Do Jahan
200 Saal pehle paida hone wale Wahabhi deobandi ye Kehte hain ki huzoor ﷺ ko 40 saal ke baad Nabuwat mili usse pehle wo Nabi nahi the Maazallah استغفراللہ
Ahle sunnat Wal Jamaat ka ye Aqeedah Hain Nabi E Kareem ﷺ ne Nabuwat ka Ailan 40 saal me Kiya or ALLAH ﷻ ne sabse pehle Nabi ﷺ ko banaya or Nabi ﷺ ke sadke hi is duniya ko banaya or Nabi ﷺ Khatimun Nabiyeen hain nabi ﷺ ke baad koi Nabi nahi ayega
ALLAHﷻ Quran Paak Surai Aale Imran Aayat 81 Me Irshad Farmata Hai
وَ اِذْ اَخَذَ اللّٰهُ مِیْثَاقَ النَّبِیّٖنَ:
Tarjuma:- Aor Yad Karo Jab ALLAH Ne Nabiyon Se Wada Liya.
Hazrat Ali کَرَّمَ اللہ تَعَالٰی وَجْہَہُ الْکَرِیْم Ne Farmaya Ki ALLAH Tala Ne Hazrat Aadam علیہ السلام Aor Unke Bad Jis Kisi Ko Nabuwat Ata Farmai Unse Syed Ul Ambiya Muhammed Mustafaﷺ Ke Mutaalik Ahed Liya Aor Un Ambiya عَلَیْہِمُ الصَّلٰوۃُ وَالسَّلَام Ne Apni Qaumo Se Ahed Liya Ke Agr Unki Hayat Me Sarwar Kaynatﷺ Ho To Wo Aapﷺ Par Imaan Laye Aor Aapﷺ KiMadad O Nasrat Kare.
(Tafseer Ul Khazin” Al Imran- Tahetul Aayat 81 /Jild 1 / Page-825)
Huzur Nabi E Karim ﷺ ka Khatamun Nabiyeen Hona Aur Hazrat Ameena رضي الله عنها Ka Mulk E Shaam Dekhna :
Hazrat Irbaaz bin Sariya Radiallahu Anhu se marvi hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya mai Allah Taa’la ka wo banda hu jis ko ummul kitab me us wakt khatimun Nabiyeen likh diya gaya to tha jab Adam عَلَيـهِ السَّــلَام abhi tak apne mitti me pade huwe the aur Mai ankareeb tumko uske taveel ke baare me batlaunga, Mai apne baap Hazrat Ibrahim Alaihsalam ki dua, Hazrat Isa عَلَيـهِ السَّــلَام ki basharat aur apni Maa ka khwab hu. Meri maa ne ek khwab dekha tha ke usse ek aisa noor nikla jisne uske lie shaamke mehlaat roshan ker die aur nabio ki maa’en aise hi khwab dekhti rahi hai, Allah taala ki unpe rehmate ho”
Imam Ahmad ibn Hanbal Al Musnad Vol : 28, pg 395, Hadees : 17163) Sahih Tahkeek Shaykh Arnaut(Musnad Ahmad Imam Ahmad Ibn Hanbal Vol :13, Pg 281-282 Hadees : 17085-86) Tahkeek Ahmad Shakir (Imam Darimi Sunan, Hadees : 13)(Imam Hakim in his Mustadrak Vol 02:418, 600, 616-617 Sahih), (Imam Bayhaqi Dala’il an-Nubuwwa 1:80-84,110, 2/8)(Imam Ibn Hibban 14:313 #6404), (Imam Tabarani Mu’jam al-Kabir, 8:206, 18:252-53, 20:353), (Imam Ibn Asim Sunnah #409)(Imam Bazzar Majma Uz Zawa’id 1:217, 3:113),(Imam Bukhari Tarikh al-Kabir (6:68) (Imam Abu Dawood Al Tayalisi Musnad, #1236)(Imam Ibn ‘Asakir Tareekh 1:166-71)(Imam Haythami in Majma’ az-Zawa’id 8:222-23 #13841-42)(Imam Suyuti Jami’ as-Saghir #4359-60)
Hazrat Irbaz Bin Sariya رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ Se Riwayat Nabi Kareem Rauf O Raheem صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Irshad Farmaya
Mai Abdullah Hoon (Yaani Allah Ka Banda Hoon) Aur Mai Us waqt bhi khataman Nabiyeen tha jab Mere Baap (Yaani Adam Alaihsalam) abhi Gaadhi Mitthi Me They,
Aur Mai Ankbareeb Iske baare me tumhe khabar dunga, Mai Apne Jadde Aala Ibraheem عليه السلام Ki Dua Hu, Hazrat Eisa عليه السلام Ki Basharat Hu Aur Wo Khwab Hu Jo Meri Walida Sayyeda Amina رضی اللہ عنہا Ne Zamana e Hamal Me Dekha Ki Unse Ek Noor Ne Tulu Farmaya Hai Jisse Ilaqa E Sham Munawwar Ho Gaya Aur Fir Aapne Ye Ayat Tilawat Farmayi Surah Ahzab Ayyat 45-46
يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِىُّ إِنَّآ أَرْسَلْنَٰكَ شَٰهِدًا وَمُبَشِّرًا وَنَذِيرًا
وَدَاعِيًا إِلَى ٱللَّهِ بِإِذْنِهِۦ وَسِرَاجًا مُّنِيرًا
Aye Mahbbub Behsaq Humane Tumhe Gawah Aur Khush’khabri Sunane Wala Aur Dar Sunane Wala Aur Allah Ke Huqm Se Uski Taraf Logon Ko Bula Ne Wala Aur Roshan Aftab Bana Kar Bheja
(Imam Hakim Al Mustadrak Kitabut Tafseer, Surah Ahzab Vol 02, Pg : 453 Hadees : 3566)
Hazrat Abu Huraira رضی ﷲتعالی عنہ Se Marvi Hai Ki Sahaba Ikram Ne Arj Kiya Ya Rasul Allahﷺ Aapke Liye Nabuwat Kab Wajib Hui Aapne Farmaya Jab Hazrat Aadam علیہ السلام Rooh Aor Jism Ke Darmiyan The Is Hadis Ko Hazrat Imam Tirmizi رحمہ ﷲ Ne Riwayat Kiya Aor Farmaya Yah Hadis Hasan Hai
very good
best