- September 7, 2024
- No Comments
- قادری مجاہدی مسائل گروپ
Waseele pe Aitraz ka Jawab
Iske pehle ke topic me Apne Dekha ki Waseela lena Qur’an or Hadees se sabit hain or Hamne Waseele ke Talluq se beshumar Dallel diye hain lekin Gair Muqqalid wahabhi bukari Shareef ki ek hadees ko le kar ate hain or Waseele par aitraaz karte hain Hadees to ye Google se late hain jisme inhone tarjuma hi Change kar diya
Sabse pehle Huzoor ﷺ ki ye Hadees padhe Hazrat Ibn Abbas رضي الله عنه Anhu Se Marwi Hai K NABI ﷺ Ne Farmaya Jo Shaks Bagair Ilm Kay Quran Kay Baare May Kahe To Wo Aag May Hai.Jame
Trimidhi Hadees 3204 : Yeh Hadees Hasan Sahih Hay
Toh Is hadees Se Saaf Wazeh Hogaya Kay K Agar Tumhay Ilm Nai Toh Ilm Walo Say Pucho Aur Quran O Hadees May Apni Taraf Say Kuch Na Kaho Warna Tumhara Thikhana Jahannum Haye.
Ab aaye Mauzu ki taraf Ahle Hadees Bukhari Sharif 1010 ki hadees le kar ate hain or Waseele par aitraaz karte hain ki Kay Dekho NABI Zinda Nai Thay Aur Baad Az Wafat Waseela Jayaz Hota Toh Hazrat Umar رضي الله عنه Hazrat Abbas رضي الله عنه Kay Paas Kyu Jaatay ?
Iskay Alawa Puri Gair Muqallid Agar Ek Jagah Miljaye Toh Issey Zyada Wo Daleel Day Hi Nai Saktay K Baad Az Wafat Waseela Lena Bidat Hay Ya Haram Hay Ya Shirk Etc
Unke Aitraaz Ka Jawab
Iski Wajah Yeh Hay Yeh Tabsera Hadees Per Khud Gair Muqallid Ka Gadha Hua Hay Apni Taraf Say , Imam Bukhari Nay Hadees Kab Likhi ?? Oos Daur Say Lekar Gair Muqallid Kay Wujood May Aanay Tak Accha Khasa Fasla Hay , Toh Is Darmiyan May Kis Muhaddis , Muffasir , Aimma E Mujhtahideen Wagaira Nay Yehi Istedlal Lliya Jog Air Muqallid Letay Hay ??
Iskay Baraqs Hum Is Hadees Per Imamo Kay Sharah Pesh Karenge Ab Aaye Muhaddiseen Yaani Ilm Walo Ki Sharah Ki Taraf Kay Wo Is Hadees Kay Baare me Kya Kehtay.
YA ALLAH , Koi Pareshani Na Utray Siwaye Gunaho Ki Wajah Say Aur Naahi Tauba Kay Siwaye Uthaye Gai Ho , Log Meray Zariye Teri Taraf Mutawajja Hue Kyukay May Teray Nabi Ka Rishtedar Hu Hazrat Abbas رضي الله عنه Kay Tawassul Say Malum Hua Kay Nek , Saleh Aur Ahle Bayt Ka Waseela Lena Bhi Jayaz Hay.
Fath Ul Bari Sharah Sahi Bukhari , Safa 577
Imam Subki Likhtay HayIs Hadees Say Malum Hua Saleh Logo Ka Tawassul Lena Jayaz Hay , Balkay Kisi Bhi Muslim Nay Iska Innkar Nai Kiya Hay Siwaye Bidati Kay Jo Tawassul Kay Munkir Hay.
As Shifa As Siqam Safa 377
Mufti Mohammad Shareef Ul Haq Amjadi Sahab Likhtay HayYeh Hadees Iski Daleel Hay Kay Ahle Bayt Aur Buzurganaydeen Ko Khuda Ki Bargah May Waseela Banana Mustahab Hay , Jaisa Kay Allama Ibn Hajar Aura Llama Ayni Nay Tasreeh Ki Hay.