logo
phone

Follow Us:

Mazar Bnane ka Saboot

Mazar Bnane ka Saboot

Wahabi Deobandi Ahle’hadees Awaam e Ahle Sunnat ko Gumrah karne ke liye ek se ek new new Fitne Leke Ata hain or Ulte seedhe Aitraaz karte Hain inhi Aitraaz me ek Ek aitraaz ye bhi karte hain ki Tum Auliya ki Qabr ko pakka kyu karte ho Uspar Mazaar Kyu Banate ho

Sabse pehle ye Jan Lena Chaiye ki Auliya Ikram ho Ya Ambiya Alahisalam ho sabki Qabr Andar se kachhi hi hoti hain or ye jo Qabr pakki hoti h ye Uppar se hoti hain or us ke uppar Mazaar banaya jata hain

Or ye Mazaar sirf India me nahi puri duniya me apko dekhne milega Lekin sirf Saudi Arab me nahi milega kyuki wha Najdiyo ki hukumat ayi or unhone Jo mazaar bani thi sahaba ki Ahle Bait ki un sab ko Shaheed kar diya Maazallah Usse pehle Saudi Arab me bhi Auliya ki or Ambiya ki mazaar maujood thi jaise puri duniya me hain lekin in Najdiyo ne Tod Diya

Ab Aaye Hadees se dekhte Hain Qabr par Mazaar Banane ka Saboot

HAZRAT URAWAH رضي الله عنه FARMATE HAI KI “WALEED IBNE ABDUL MAALIK KE ZAMANE ME RAUZ-E- RASUL ALLAH ﷺ KI EK DIWAAR GIR GAYI” “FAAKHAZU FEE BENAAEEHI” “HAZRAT WALEED NE HUKUM DIYA K TAMEER KARO SUB USSE BANNANE ME MASHGUL HUYE” “FABADAT LAHUM QADAMUN FAFAZA’U WA JANNOO ANNAHAA

KADAMUNNABEEYE ALAIHISSALAAMU” “EK QADAM ZAHIR HO GAYA TO LOG GHABRA GAYE OR SAMAJHE KI YEH HUZUR KA QADAM-E-PAK HAI” HAZRAT URAWAA رضي الله عنه NE KAHA KI “ALLAH KI KASAM YE HUZUR ﷺ KA QADAM NAHI HAI YEH HAZRAT UMAR-E-FAROOQ رضي الله عنه KA QADAM HAI” PUCHA KITNE SAAL BAAD NIKLA KAHA K KAI SAAL BAAD NIKLA FARMATE PAIR AISA THA JAISA ZINDO KA HOTA HAI.

Advertisement

SAHIH BUKHARI, Vol.2 hadis:1390

IS HADEES SE MALUM HUA KI MAZAAR-E-MUBARAK AAQA ﷺ Ke SAHABA KI SUNNAT HAI AUR AMBIYA SAHABA AUR AULIYA APNI QABRO ME ZINDA HAI

Advertisement

Imam Ibne Shabbah Jinki Wafat 264 Hijri me hui Apni Kitab Tareekh e Madina Tul Munawwara Me Riwayat Naqal karte h Saaib Bin Yazeed Farmate h Mujhko Mere Dada Ne Khabar Di Ki Jab Hazrat Sahabi e Rasool Hazrat Aqeel Jo Hazrat Ali Ke Bhai H Unhoone Apne Ghar me Kuwa Khudwaya to Ek Naqsh Patthar Nikal aaya Jispe Likha tha Qabr e Umme Habiba Ta Sakhar Bin Harb Ki H To Hazrat Aqeel Ne Us Kuwe Ko Band karwa Kar Usme Ek Kamra Banwa diya Hazrat Yazeed Bin Saaib Kahte h Maine Us Makan me Dakhil Hua Maine Apni Aankho Se Us Qabr ki Ziyarat Ki

Refrance Tareekh E Madina Tul Munawwara Jild 1 Safa No 120

Imam Ibne Hajar Asqalani Al Mutawwafa 852 Hijri Fathul Bari Sharah Sahi Bukhari ke Muqaddame me Likhe h Ke Jab Imam Bukhari Ko Qabr me Dafan Kiya Gaya to Unki Qabr se Mushk Aur Ambar Khushbo Aane lagi To log Imam Bukhari ki Qabr par Aa Kar Unki Qabr ki Mitthi Se Barkat lete Phir Unki Qabr ke Charo Taraf imarat Building Bana Di Gayi

Refrance Fathul Bari Sharah Sahi Bukhari Published by Deoband Pakistan page No 99

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *