- September 7, 2024
- No Comments
- قادری مجاہدی مسائل گروپ
Hazrat Ameer Muawiya (رضي الله عنه )par Aitraaz ka jawab.
Is Topic me Hazrat Ameer E Muawiya رضي الله عنه par jo jhoot or Manghadat baate or kuch Hadees jo Rafzi ,Tafzeeli plumberi late hain uska Jawab diya jayega Dallel ki Roshni me
Isse pehle ek Topic Already Add hain jo sahabhi e Rasool Hazrat Muawiya رضي الله عنه ki Fazilat me Maujood Hain us Topic ko Zarror padhe Or Apne Ilm me Izafa Farmaye
Shia Rafzi Minhaji ul Padri & Tafzili Munafiq Log Bukhari Sharif ki Hadees 2812 Hadees e Ammar رضي الله عنه Ki Apko Ek Baghi Giroh Qatl Karega Ko “معاذﷲ” Hazrat Sayyidina Ameer Muawiya رضي الله عنه Par Fit Karte Hai Halake Ye Hadees Ka Asli Misdaq Khawarij Hain jis Bagi Giroh ne Hazrat Ammar رضي الله عنه ko Qatl kiya wo Bagi Giroh kharjiyo ka Giroh tha .
Hazrat Imam Abu al-Hasan Muslim “Al-Aajli” al-Kufi Al Mutawaffah “261” Hijri Likhte Hain Ke_
Hazrat Imam “Dahim” Al Mutawaffah “245” Hijri Ka Baghdad Shareef Me ikhtilaf Ho Gaya Pas Baghi Giroh Wali Riwayat Se Logon Ne Ahle Sham (Yani Sayyedna Ameer Muawiya رضي الله عنه) Ko Murad Liye Is Par_ Hazrat Imam Dahim Ne Farmaya Ke Jo Aisa Kahe Ki Is Riwayat Me Baghi Giroh Se Murad Hazrat Ameer Muawiya رضي الله عنه Hain Wo Fahasha Ki Aulad Hai”
(Tareekh al-Siqaat/Raqam No-928)
To Pta Chala Ke Hazrat Ameer Muawiya رضي الله عنه Ke Khilaf Bakwas Karne Wale Sab Fahasha Ki Aulade Hain
Advertisement
Or Agar Hazrat Muawiya رضي الله عنه ko Bagi kehte ho to Maula Imam Hassan رضي الله عنه ne Hazrat Ameer E Muawiya رضي الله عنه se sulah ki or Apni khilafat hazrat Muawiya ke supurd ki to kya imam Hasan رضي الله عنه ne baghi se sulah kiya Maazallah
Or Nabi ﷺ ne khud Farmaya tha Mera ye beta Hasan Musalman o ki 2 bade Giroh me Sula karayega or Imam Hasan رضي الله عنه ne Hazrat Muawiya رضي الله عنه se sulah karke 2 Giroh ko ek kar diya
Hazrat Abu Hurayrah رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Aur Hazrat Abu Bakrah رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Se Riwayat Hain Rasool Allah ﷺ Hazrat Imam Hasan رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Ko Apne Paas Liye Tashreef Farma The Aur Unki Taraf Dekh’kar Irshad Farmaya Ye Mera Beta Hasan رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Syed Ibn e Syed Hain Allah Iske Haath Par Meri Ummat Ke 2 Azeem Badi Jamato Ke Darmiyan Me Sulah Karayega Jab Ke Kafi Khoon Beh’chuka Hoga*
(Reference Book Sahih Bukhari Vol 1 Hadees 3746)
Yani Huzoor ﷺ Ne Hazrat MaulanAli رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Aur Hazrat Muawiya رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Ke Dono Giroh Ko Azeem Karar Diya Aur Hazrat Imam Hasan رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Aur Hazrat Muawiya رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Ke Bich Jo Sulah Hui Usko Aapke Bachpan Me Hi Bata Diya Aur Khoon Beh’chuka Hoga Isse Murad Jang e Siffeen Aur Jang e Jamal Hai_
Advertisement
Rafzi Tafzeeli or Engineer Mirza ke Pille Ek or Hadees ko lekar Aate hain or kehte hain ki Hazrat Muawiya رضي الله عنه ne Hazrat Saad رضي الله عنه ko Hukm Diya ki Ap Hazrat Maula Ali رضي الله عنه ko bura bhala kahe .
Sahi Muslim 6220 ki Hadees me Ek Rawi hain. بکیر بن مسمار ye Ravi Imam Bukhari or bhout se Muhadiseen ke Nazdik Zaeef hain
Imam Bukhari رحمتہ اللہ علیہ ne is Rawi بکیر بن مسمار ke bare me Apni kitaab me Farmaya ki ye Rawi Fihe Babun Nazar hain ( Zaeef se bhi niche darje me hain )